Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-O-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-O-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-O-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-E-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay
**********************
Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,
Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana
**Yeh Kya Ke Beyaan Sab Se Dil Ki Haaltain Karni,
Faraz Tujh Ko Na Aayin Mohabbtain Karni..
**********************
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay
**********************
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-E-Nargis Ko Chashm-E-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain Muhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar Kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar Kehna,
Ab Goya Azaab-E-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar Kehna.
**********************
Qariib Maut Kha.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
Qazaa Se Aa.Nkh La.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
Thakii Thakii Sii Fazaaye.N Bujhe Bujhe Taare
Ba.Dii Udaas Gha.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
Nahii.N Ummiid Ki Ham Aaj Kii Sahar Dekhe.N
Ye Raat Ham Pe Ka.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
Abhii Na Jaao Ki Taaro.N Kaa Dil Dha.Dakataa Hai
Tamaam Raat Pa.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
Phir Is Ke Baad Kabhii Ham Na Tum Ko Roke.Nge
Labo.N Pe Saa.Ns A.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
Dam-E-Firaaq Me.N Jii Bhar Ke Tum Ko Dekh To Luu.N
Ye Faisale Kii Gha.Dii Hai Zaraa Thahar Jaao
**********************
Leave a Comment